Song Lyrics Title : Aaj Hai Do October Song Lyrics Movie : Parivar (1956) Singer: Lata Mangeshkar Music By : Kalyanji Anandji Lyricist :Gulshan Bawra
mp3 songs
aaj hai do october ka din aaj ka din hai bada mahan aaj ke din phul khile hai jinse mahka hindustan
nam ek ka bapu gadhi or ek lal bahadur hai ek ka nara amar desh me jai jawan jai kisan jai jawan jai kisan
bapu jisne manwata ka dunia ko sandesh diya bagdor bharat ki sambhali nehru ko adesh diya lal bahadur jisne hamko garw se jina sikhlaya sach pucho to geeta ka adhyaya usine dohraya jai jawan jai kisan jai jawan jai kisan
vishwa shanti ke hit me dekho surviro ne kiye hai tyag ek ka nara amar desh me jai jawan jai kisan jai jawan jai kisan
mere munne do october ke subh din hi tu janma meri yahi dua hai ki un jaisa hi tu banna or un jaisa na ban apye to fir itna karna kam se kam unke batalaye raste pe hi tu chalna jai jawan jai kisan jai jawan jai kisan
tumpe dunia naj karegi tu hai un veero ki shan ek ka nara amar desh me jai jawan jai kisan jai jawan jai kisan aaj hai do october ka din aaj ka din hai bada mahan aaj ke din phul khile hai jinse mahka hindustan jai jawan jai kisan jai jawan jai kisan
Posted by: {Anju}
|