Song lyrics title : Yeh Mana Meri Jaan Song lyrics movie : Hanste Zakhm (1973) Singer : Mohammad Rafi, Balbir Musician : Madan Mohan Lyricist : Kaifi Azmi Cast : Naveen Nischol, Priya Rajvansh, Jeevan, Balraj Sahni, Nadira, Kamal Kapoor, K N Singh, Murad
mp3 songs
Haaye tauba tauba yeh jawani Yeh jawani ka guroor..
Ishq ke saamne sar phir bhi jhukana hi pada Kaise kehte the na aayenge na aayenge magar Dil ne is tarah pukara tumhein aana hi pada Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai Maza ismein itna magar kis liye hai Maza ismein itna magar kis liye hai Woh ik bekaraari jo ab tak idhar thi Wohi bekaraari udhar kis liye hai Abhi tak to idhar thi udhar kis liye hai Kis liye hai haan kis liye hai Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai Maza ismein itna magar kis liye hai Maza ismein itna magar kis liye hai..
Behalna na jaane, badalna na jaane Tamanna machal ke sambhalna na jaane Tamanna machal ke sambhalna na jaane Behalna na jaane aaha, badalna na jaane Haye tamanna machal ke sambhalna na jaane Tamanna machal ke sambhalna na jaane Ho ho ho behalna na jaane, badalna na jaane Tamanna machal ke sambhalna na jaane Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane Kareeb aur aao, kadam to badhao Jhuka doon na sar to sar kis liye hai Jhuka doon na sar to sar kis liye hai Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai Maza ismein itna magar kis liye hai Maza ismein itna magar kis liye hai..
Nazaare bhi dekhe, ishare bhi dekhe Kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe Haan kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe Nazaare bhi dekhe, ishare bhi dekhe Kai koobsurat, haan sahaare bhi dekhe Naam kya cheez hai, izzat kya hai Sone chaandi ki hakiqat kya hai Lakh behlaaye koyi daulat se Pyaar ke saamne daulat kya hai Ho ho ho nazaare bhi dekhe, ishare bhi dekhe Haye kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe Haan kayi khoobsurat sahaare bhi dekhe Jo maikhane jaake main sagar uthaaoon To phir yeh nasheeli nazar kis liye hai To phir yeh nasheeli nazar kis liye hai Haan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai Maza ismein itna magar kis liye hai Maza ismein itna magar kis liye hai..
Tumhi ne sanvara, tumhi ne sajaya Mere soone dil ko tumhi ne basaya Haan mere soone dil ko tumhi ne basaya Tumhi ne sanvara, tumhi ne sajaya Mere soone dil ko tumhi ne basaya Jis chaman se bhi tum guzar jao Har kali par nikhar aa jaaye Rooth jao to rooth jaaye Khuda Aur jo hans do bahaar aa jaaye Ho ho ho tumhi ne sanvara, tumhi ne sajaya Haye mere soone dil ko tumhi ne basaya Haan mere soone dil ko tumhi ne basaya Tumhare kadam se hai ghar mein ujala Agar tum nahin to yeh ghar kis liye hai Agar tum nahin to yeh ghar kis liye hai Haan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai Maza ismein itna magar kis liye hai Woh ik bekaraari jo ab tak idhar thi Wohi bekaraari udhar kis liye hai Wohi bekaraari udhar kis liye hai...
Posted by : {Anamika Tyagi}
|