Song Lyrics Title : Bedardi balma tujhko mera man Song Lyrics Movie : Arzoo (1965) Singer(s): Lata Mangeshkar Music Director(s): Shankar-Jaikishan
mp3 songs
bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai barasta hai jo aankho se woh sawan yad karta hai
kabhi ham sath gujare jin sajili rehgujaro se fiza ke bhes me girte hain abb patte chanaro se yeh rahe yad karti hain, yeh gulshan yad karta hai
koyi jhonka hawa ka jab mera aanchal udata hai guman hota hai jaise tu mera daman hilata hai kabhi chuma tha jo tune woh daaman yad karta hai
woh hi hain jhil ke mandar woh hi kirno ki barsate jaha ham tum kiya karte the paharo pyar ki bate tujhe iss jheel ka kamosh darpan yad karta hai
|